اردو हिंदी
Zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath | Shaahi Shayari
zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath

Ghazal

Zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath

Aziz Tamannai

;

zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath
kashmakash si hai magar gardish-e-ayyam ke sath

rifaten dekhti rah jati hain us ki parwaz
wo tasawwur ki hai wabasta tere nam ke sath

mil hi jaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho sham ke sath

dam-e-hasti hai KHush-aind bhi dilkash bhi magar
uDte jate hain giraftar usi dam ke sath

jab kisi lamha-e-dauran ko TaTola hum ne
ru-e-aghaz nazar aaya hai anjam ke sath

un riwayat ko dohraate hain hum az-sar-e-nau
wo jo mansub hain sadiyon se tere nam ke sath

harf aae na 'tamannai' kahin saqi par
aaj mahfil mein chale aae hain hum jam ke sath