zindagi yun to bahut ayyar thi chaalak thi
maut ne chhu kar jo dekha ek muTThi KHak thi
jagti aankhon ke sapne dil-nashin to the magar
mere har ek KHwab ki tabir haibatnak thi
aaj kanTe bhi chhupae hain libaadon mein badan
ek zamane mein to fasl-e-gul bhi daman chaak thi
tha hamein bhi har qadam pe nak kaT jaane ka Dar
un dinon ki baat hai jab apne munh par nak thi
tha laDakpan ka zamana sarfaroshi se bhara
hum usi talwar par marte the jo saffak thi
doston ke darmiyan sach bolte Darta hai wo
dushmanon ki bhiD mein jis ki zaban be-bak thi
Ghazal
Zindagi yun to bahut ayyar thi chaalak thi
Shakeel Shamsi