اردو हिंदी
Zindagi yun hui basar tanha | Shaahi Shayari
zindagi yun hui basar tanha

Ghazal

Zindagi yun hui basar tanha

Gulzar

;

zindagi yun hui basar tanha
qafila sath aur safar tanha

apne sae se chaunk jate hain
umr guzri hai is qadar tanha

raat bhar baaten karte hain tare
raat kaTe koi kidhar tanha

Dubne wale par ja utre
naqsh-e-pa apne chhoD kar tanha

din guzarta nahin hai logon mein
raat hoti nahin basar tanha

hum ne darwaze tak to dekha tha
phir na jaane gae kidhar tanha