zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah
gham piye jate hain umDe hue aansu ki tarah
aaj wahshat ka ye aalam hai ki har insan hai
dasht-e-tajrid ke bhage hue aahu ki tarah
zulm ka aag ugalta hua suraj sar par
tapish-e-dard se har sans hai ab lu ki tarah
hai gulistan mein teri gul-badani ka shohra
kash tu guzre idhar se kabhi KHushbu ki tarah
assi ummid pe aaina-e-dil dhote hain
munakis ho koi surat mere mah-ru ki tarah
shab-e-furqat mein bhi tanhai mayassar na hui
lakh gham ghere rahe mujh ko jafa-ju ki tarah
be-dili shart-e-mulaqat hai to yun hi sahi
hum tere shahr mein ab aaenge sadhu ki tarah
Dubne lagti hai jab rang ke sailab mein aankh
yaad tab us ki bacha leti hai jadu ki tarah
sarzanish bhi teri banti hai sahaara mera
rah-e-dushwar mein phaile hue bazu ki tarah
lazzat-e-dahr mein gum hota hai jab dil 'asra'
tab kasak uThta hai wo dard ke pahlu ki tarah
Ghazal
Zindagi uljhi hai bikhre hue gesu ki tarah
Asra Rizvi