zindagi tujh se hamein ab koi shikwa hi nahin
ab to wo haal hai jine ki tamanna hi nahin
intiha ishq ki hai aaina-e-dil pe mere
ma-siwa us ke koi aks ubharta hi nahin
mere afkar ko deti hai jila us ki jafa
gham na hote to ye qirtas sanwarta hi nahin
mujh ko haq baat ke kahne mein tammul kyun ho
main wo diwana hun jo dar se Darta hi nahin
hum ki KHwabon se bahal jate the lekin afsos
jagti aankhon se to KHwab ka rishta hi nahin
main ki suraj hu idhar Duba udhar ubharunga
main wo tairak nahin hun jo ubharta hi nahin
waqt ke sath badalne laga har ek 'shafiq'
jaise ab mujh se kisi ka koi rishta hi nahin
Ghazal
Zindagi tujhse hamein ab koi shikwa hi nahin
Shafiq Jaunpuri