zindagi tujh se bichhaD kar main jiya ek baras
zahr tanhai ka hans hans ke piya ek baras
ek andhere ka bhanwar tha mera mahaul magar
kaam ashkon se charaghon ka liya ek baras
kisi aandhi kisi tufan se bujhae na bujha
dil mein jalta hi raha gham ka diya ek baras
ek lamha bhi gawara na tha furqat ka 'sarosh'
ye bhi kya kam hai tere gham mein jiya ek baras

Ghazal
Zindagi tujhse bichhaD kar main jiya ek baras
Rifat Sarosh