zindagi tujh ko kahin par to Thaharna hoga
rasm-e-duniya ko nibhate hue marna hoga
panw thak jaen badan kanpe ya dil ghabrae
jalte sahra se hamein rose guzarna hoga
kya wahi mauj-e-bala kya wahi manjdhaar ka KHauf
gham ke dariyaon se ab par utarna hoga
chhoD dun kaise adhura main koi kaam tera
tere KHake mein mujhe rang to bharna hoga
lakh haalat tujhe karte hon majbur 'siya'
TuT kar bhi na kahin tujh ko bikharna hoga
Ghazal
Zindagi tujhko kahin par to Thaharna hoga
Siya sachdev

