zindagi tham liya karte hain baDh kar lamhe
waqt aane pe badalte hain muqaddar lamhe
aa bhi ja tujh ko bulate hain ye kah kar lamhe
phir na aaenge bahaaron ke moattar lamhe
har ghaDi ek sa mausam bhi kahan rahta hai
hain kahin phul se komal kahin patthar lamhe
sab mein yari hain yahan dosti yari sukh dukh
kis ne dekhe hain yahan umr se baDh kar lamhe
zindagi aaj bhi masruf bahut hai lekin
hum chale aae tere pas chura kar lamhe
ek na-chiz ko fankar bana dete hain
hasil-e-umr hua karte hain dam-bhar lamhe
Ghazal
Zindagi tham liya karte hain baDh kar lamhe
Ashok Mizaj Badr