zindagi teri tamanna mein basar ho jae
aur kya chahiye jo bar-e-digar ho jae
dard ki dhup Dhale aas ka mausam nikhre
tere imkan ka pauda jo shajar ho jae
apni sachchai ka phir mujh ko yaqin aaega
zinat-e-dar-o-rasan mera jo sar ho jae
zindagi karne ka aa jae saliqa jo hamein
surat-e-KHuld-e-barin apna ye ghar ho jae
mujh ko bas itna hi saman-e-safar kafi hai
meri manzil hi mera raKHt-e-safar ho jae
khil uThe phul ki manind muqaddar mera
mere mahbub agar teri nazar ho jae
hasil-e-zist wahi meri tamanna hai wahi
wo kisi rose muqaddar ka samar ho jae
gham-e-duniya se mile mujh ko rihai ai 'nabil'
meri aahon ka agar us pe asar ho jae
koi daman na uDe zard hawaon se 'nabil'
gar sahaara jo bashar ka ye bashar ho jae
Ghazal
Zindagi teri tamanna mein basar ho jae
Nabeel Ahmad Nabeel