zindagi shab ke jaziron se udhar DhunDte hain
aankh mein ashk jo chamken to sahar DhunDte hain
KHak ki tah se udhar koi kahan milta hai
hum ko malum hai ye baat magar DhunDte hain
kar-e-duniya se ulajhti hain jo sansen apni
zaKHm ginte hain kabhi misra-e-tar DhunDte hain
be-hunar hona bhi hai maut ki surat ai dost
zinda rahne ke liye koi hunar DhunDte hain
dastaken kab se hatheli mein chhupi hain 'shahbaz'
shahr-e-asrar ki diwar mein dar DhunDte hain
Ghazal
Zindagi shab ke jaziron se udhar DhunDte hain
Shahbaz Khwaja