zindagi se hasin udasi hai
ye meri ham-nashin udasi hai
kab se pindar mein muqayyad hai
kaisi parda-nashin udasi hai
lahza lahza use kashid karo
ki mai-e-angbin udasi hai
jura jura pila mujhe saqi
man hiran satgin udasi hai
kaba-e-dil mein hai jo mahw-e-tawaf
jahan tab-e-jabin udasi hai
parbaton wadiyon mein basti hai
jangalon ki makin udasi hai
wo tah-e-ab jal-pari si hai
meri sahra-nashin udasi hai
dekh kar la rahi hai hasti mein
jaan-e-jaan ja-guzin udasi hai
sun adam se wajud tak har ja
KHanuman mein makin udasi hai
jada-o-sang-mil-o-maskan mein
rahbaron ka yaqin udasi hai
dip bim-o-raja ka jaan gul ho
dekhna tum wahin udasi hai
zarb ek KHol ki fasilon mein
hashiyon ke qarin udasi hai
jauhar-e-hast mirza-'ghaalib' thi
aaj KHak-e-barin udasi hai
wan KHushi ki numu muhaal si hai
us ke dil ki zamin udasi hai

Ghazal
Zindagi se hasin udasi hai
Saima Naseem bano