zindagi sada waraq par ek hasin tahrir hai
aur ye duniya usi tahrir ki tafsir hai
haq-ba-jaanib sirf hum hain dusra koi nahin
KHud-pasandi ki yahi adna si ek taswir hai
ye bhi andaz-e-taghaful aur talawwun ki dalil
jo bahut pyara tha ab wo laeq-e-tazir hai
rahbar milte hain lekin rah dikhlate nahin
manzilon par jo pahunch jae wahi rah-gir hai
zud-ranji bhi 'wasiyya' ek aadat hi sahi
ye to batla den ki is mein kya meri taqsir hai
Ghazal
Zindagi sada waraq par ek hasin tahrir hai
Fatima wasia Jayasi