اردو हिंदी
Zindagi pane ki hasrat hai to marta kyun hai | Shaahi Shayari
zindagi pane ki hasrat hai to marta kyun hai

Ghazal

Zindagi pane ki hasrat hai to marta kyun hai

Shahid Ahmad Shoaib

;

zindagi pane ki hasrat hai to marta kyun hai
shahr-e-mamnua se ho kar wo guzarta kyun hai

jab bhi amrit ki koi bund zaban par Tapki
ek ajab zahar sa rag rag mein utarta kyun hai

chhu ke har shai ko guzar jata hai wo sail-e-bala
mere be-nam jazire mein Thaharta kyun hai

hum ko malum hai lamhat ka hasil bhi 'shoeb'
dil magar Dub ke har lamha ubharta kyun hai