اردو हिंदी
Zindagi nam hai mohabbat ka | Shaahi Shayari
zindagi nam hai mohabbat ka

Ghazal

Zindagi nam hai mohabbat ka

Aziz Hyderabadi

;

zindagi nam hai mohabbat ka
marg anjam hai mohabbat ka

kis tarah nikle bagh se bulbul
bu-e-gul dam hai mohabbat ka

KHas mujh par nahin nigah-e-karam
qaeda aam hai mohabbat ka

ruh ke waste tan-e-KHaki
ek ehram hai mohabbat ka

meri zid se hawas-paraston mein
nam bad-nam hai mohabbat ka