zindagi nam hai jis chiz ka kya hoti hai
chalti phirti ye zamane ki hawa hoti hai
sair duniya ki na kuchh yaad-e-KHuda hoti hai
umr inhin jhagDon mein taraj-e-fana hoti hai
ruh jab qalib-e-KHaki se juda hoti hai
kis ko malum kahan jati hai kya hoti hai
fikr-e-duniya se siwa ho jise uqba ka KHayal
wo tabiat hi zamane se juda hoti hai
Dil-e-pur-gham abhi ban jae dawa-e-taskin
wo nazar Dal jo manus-e-wafa hoti hai
sadiqul-qaul ki pahchan yahi hai ai 'naz'
dil mein Dar hota hai aankhon mein haya hoti hai
Ghazal
Zindagi nam hai jis chiz ka kya hoti hai
Sher Singh Naaz Dehlvi