zindagi mujh ko meri nazron mein sharminda na kar
mar chuka hai jo bahut pahle use zinda na kar
haal ka ye dukh tere mazi ki tujh ko den hai
aaj tak jo kuchh kiya tu ne wo aainda na kar
to bhi is tufan mein ek ret ki diwar hai
apni hasti bhul kar har ek ki ninda na kar
sau-guna hote hue bhi jis ne bazi haar di
aisi buzdil bhiD ka mujh ko numainda na kar
jism kya shai hai ki meri ruh tak jal jaegi
aag mein apni jala kar mujh ko tabinda na kar
Ghazal
Zindagi mujhko meri nazron mein sharminda na kar
Aqeel Shadab