zindagi mujh ko kahan le aai hai
samne dariya hai pichhe khai hai
mujh ko ghairon se nahin shikwa koi
tha jo apna wo bhi to harjai hai
bad-nasibi ko koi apnae kyun
phir meri jaanib hi wo lauT aai hai
band muTThi mein na jugnu ko karo
Dhal gaya hai din to phir shab aai hai
kuchh na paega to sahil par 'sahar'
ja wahin par jis jagah gahrai hai

Ghazal
Zindagi mujhko kahan le aai hai
Ramzan Ali Sahar