zindagi meri hui hai phir niDhaal
ye umid-e-be-sabaati ka kamal
jab chali ai zist mustaqbil ki baat
ban gaya hun aap KHud apna sawal
sher kah kar pas rakh leta hun main
fan ki duniya mein na ho phir qil-o-qal
puchhna kya shahr-e-sang-o-KHisht se
rang badla hai zamane ki misal
main ki har sher mein 'shahid' nahin
sirf pesh-e-lafz hai mera KHayal

Ghazal
Zindagi meri hui hai phir niDhaal
Shahid Naeem