zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha
jism ke parchhain banne ka amal jaan-kah tha
ab to sare dasht-o-dariya in nigahon mein rahen
din gae zauq-e-safar mein jab koi gumrah tha
KHali-pan apni jagah kuchh talKHiyan rakhta to hai
khokhle-pan se rifaqat ke bhi dil aagah tha
tewar-e-dariya ka shikwa hai na tufan ka gila
meri parwaren KHafa thin baadban bad-KHwah tha
ajnabiyyat aa gai hai mujh mein thoDi si to kya
ye zamana bhi meri jaanib se la-parwah tha

Ghazal
Zindagi mein yun to har ek hadisa nagah tha
Shahnaz Nabi