zindagi mein us ko kaif-e-zindagi hasil nahin
jis ka dil raaz-o-niyaz-e-ishq ke qabil nahin
husn ke parde mein ho sakta nahin hargiz qarar
roz-e-awwal se ye laila KHugar-e-mahmil nahin
qadr kar dil ki ki dargah-e-KHuda mein ai nadim
do-jahan ki neamaten hazir hain lekin dil nahin
hoshiyar ai mast-o-madhosh-e-jawani hoshiyar
ishq wo dariya hai jo minnat-kash-e-sahil nahin
zabt-e-nala zabt-e-girya zabt-e-ulfat zabt-e-shauq
kis tarah kah dun ki ye aasaniyan mushkil nahin
apna rasta apni dhun apna tasawwur apna shauq
koi bhi rahbaro yahan begana-e-manzil nahin
hai tasawwur ishrat-e-mazi ka aaina-ba-dast
dil wahi dil hai magar wo garmi-e-mahfil nahin
der kya hai aa mere dil mein sama ja barq-e-naz
shikwa-sanji fitrat-e-ehsan mein daKHil nahin
iltimas-e-shauq par 'ehsan' mahshar Dah gaya
un ka sharma kar ye kahna main tere qabil nahin
Ghazal
Zindagi mein usko kaif-e-zindagi hasil nahin
Ehsan Danish