zindagi maut ke pahlu mein bhali lagti hai
ghas is qabr pe kuchh aur hari lagti hai
roz kaghaz pe banata hun main qadmon ke nuqush
koi chalta nahin aur ham-safari lagti hai
aankh manus-e-tamasha nahin hone pati
kaisi surat hai ki har roz nai lagti hai
ghas mein jazb hue honge zamin ke aansu
panw rakhta hun to halki si nami lagti hai
sach to kah dun magar is daur ke insanon ko
baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai
mere shishe mein utar aai hai jo sham-e-firaq
wo kisi shahr-e-nigaran ki pari lagti hai
bund bhar ashk bhi Tapka na kisi ke gham mein
aaj har aankh koi abr-e-tahi lagti hai
shor-e-tiflan bhi nahin hai na raqibon ka hujum
lauT aao ye koi aur gali lagti hai
ghar mein kuchh kam hai ye ehsas bhi hota hai 'salim'
ye bhi khulta nahin kis shai ki kami lagti hai
Ghazal
Zindagi maut ke pahlu mein bhali lagti hai
Saleem Ahmed