اردو हिंदी
Zindagi kya yunhi nashad karegi mujhko | Shaahi Shayari
zindagi kya yunhi nashad karegi mujhko

Ghazal

Zindagi kya yunhi nashad karegi mujhko

Hashim Raza Jalalpuri

;

zindagi kya yunhi nashad karegi mujh ko
ya kisi moD pe aabaad karegi mujh ko

yahi duniya ki jise qadr nahin hai meri
yahi duniya ki bahut yaad karegi mujh ko

main ne kal raat use apna badan saunp diya
wo jo kahti thi ki barbaad karegi mujh ko

us ka dil misl-e-qafas aur wo sayyaad-sifat
jaane kab qaid se aazad karegi mujh ko

mar bhi jaun to mohabbat ki kahani 'hashim'
phir nae nam se ijad karegi mujh ko