zindagi kya hai jo dil ho tashna-e-zauq-e-wafa
yani ye parda to uTh sakta hai aasani ke sath
guftugu-e-surat-o-mani hai unwan-e-hayat
khelte hain wo meri fitrat ki hairani ke sath
tum ne har zarre mein barpa kar diya tufan-e-shauq
ek tabassum is qadar jalwon ki tughyani ke sath
dil ki aabaadi hai 'aKHtar' dil ki barbaadi ka nam
ek talluq hai meri hasti ko virani ke sath

Ghazal
Zindagi kya hai jo dil ho tashna-e-zauq-e-wafa
Akhtar Ali Akhtar