zindagi kya hai ek safar ke siwa
ek dushwar rahguzar ke siwa
kya mila tishna-e-mohabbat ko
ek mahrum si nazar ke siwa
ishq ke dard ki dawa kya hai
sab samajhte hain chaara-gar ke siwa
kuchh nahin gham-gusari-e-ahbab
ehtimam-e-gham-e-digar ke siwa
kitni tanha thin aql ki rahen
koi bhi tha na chaara-gar ke siwa
daulat-e-sajda ho saki na nasib
aur bhi dar the tere dar ke siwa
kuchh nahin hai fusun-taraazi-e-husn
ishq ki shoKHi-e-nazar ke siwa
Ghazal
Zindagi kya hai ek safar ke siwa
Sufi Tabassum