zindagi kya hai ibtila ke siwa
shikwa-e-dard-e-la-dawa ke siwa
teri duniya mein kya nahin milta
ek dil-e-dard-ashna ke siwa
chaara-e-dard-e-zindagi kya hai
aah-e-jaan-kah-o-iltija ke siwa
kuchh nahin iKHtiyar mein apne
bandagi ke siwa dua ke siwa
main ne har baat un se kah Dali
lekin ek harf-e-muddaa ke siwa
meri imdad sab ne farmai
waiz-o-zahid-o-KHuda ke siwa
kaun samjhega in haqaeq ko
'shoala'-e-rind-e-parsa ke siwa
Ghazal
Zindagi kya hai ibtila ke siwa
Davarka Das Shola