zindagi ko na-muradi se koi shikwa nahin
ab agar patthar se Takraun to sar phahTta nahin
pi rahi hai qatra qatra mere KHwabon ka lahu
main hun duniya ke liye mere liye duniya nahin
miT chuke hain dil se yun haalat ke dhundle nuqush
jis tarah guzra hua lamha kabhi aata nahin
bhuk kheton mein khaDi hai jeb mein mahngai-band
shahr aur bazar mein galla kahin milta nahin
apne pahlu mein sameTe ho gham-e-hasti ka nur
aisa koi falsafa insan ko milta nahin
koi paigham-e-tamanna koi paigham-e-amal
sirf kah dene se to duniya mein kuchh hota nahin
koi roe ya hanse 'parwaz' mujh ko gham nahin
main to zinda hun mera ehsas-e-dil zinda nahin
Ghazal
Zindagi ko na-muradi se koi shikwa nahin
Naseer Parwaz