zindagi ko hum wafa tak wo jafa tak le gae
apne apne fan ko donon intiha tak le gae
laghzishon mein kya muafi ki tawaqqo ho ki jab
be-gunahi ko bhi meri wo saza tak le gae
sahilon par aur bhi KHush-zauq the lekin mujhe
paniyon ke rang har mauj-e-bala tak le gae
ji rahi hai ab to basti ek sannaTe ke sath
jabr ke mausam faqiron ki sada tak le gae
ek zabun-haali to thi par tum meri tariKH ko
chand hi barson mein daur-e-ibtila tak le gae
aasman ki dushmani itni bhi yak-tarfa nahin
hum bhi dharti ki balaon ko KHala tak le gae
hum ne KHud apni duaon ko kiya hai be-asar
hum jo chhoTi chhoTi baaten bhi KHuda tak le gae
kho chuke the waqt ki pahchan bhi 'shahzad' hum
ajnabi lamhe magar ek aashna tak le gae
Ghazal
Zindagi ko hum wafa tak wo jafa tak le gae
Shahzad Qamar