zindagi ki yahi kahani hai
sans aani aur jaani hai
tum jo hote to baat kuchh hoti
ab ki barish to sirf pani hai
ek taraf us ki bolti aankhen
ek taraf meri be-zabani hai
yun hi sunte rahen agar dil ki
yaad rakhiye ki jaan jaani hai
dhup lagti hai baadalon jaise
ye mohabbat ki saebani hai
bahti jati hun ek samundar mein
us ki yaadon ki baadbani hai
har taraf KHar KHar hain gulshan
baghban KHub baghbani hai
aashna hun main ab sarabon se
main ne sahra ki KHak chhani hai
'chandani' ki ghazal-wazal sahab
us ke KHwabon ki tarjumani hai
Ghazal
Zindagi ki yahi kahani hai
Chandni Pandey