zindagi ki tez itni ab rawani ho gai
baat jo sochi wo kahne tak purani ho gai
aam si ek baat thi apni mohabbat bhi magar
ye bhi jab logon talak pahunchi kahani ho gai
KHauf ki parchhaiyan hain har dar-o-diwar par
apne ghar par jaane kis ki hukmarani ho gai
zindagi ke baad 'aKHtar' zindagi ek aur hai
maut bhi jaise faqat naql-e-makani ho gai
Ghazal
Zindagi ki tez itni ab rawani ho gai
Akhtar Amaan