zindagi ki saKHt zanjiron mein jakDa dekh kar
aaj tum bhi hans rahe ho mujh ko tanha dekh kar
ab to wo bhi mujh se katra kar guzar jaane lage
mere mahaul-e-pareshani ka naqsha dekh kar
hausla kis mein tha jo deta barabar ka jawab
sabr karna hi paDa un ka rawayya dekh kar
aaj tujh ko bhi hansi aane lagi ai baghban
naujawan phulon ke armanon ko pyasa dekh kar
ahl-e-sahil ro rahe hain qatre qatre ke liye
zarf-e-dariya ro raha hai zarf-e-dariya dekh kar
meri aankhon se bhi 'maikash' gir paDe ashk-e-alam
pir-e-mai-KHana ko tanhai mein rota dekh kar
Ghazal
Zindagi ki saKHt zanjiron mein jakDa dekh kar
Maikash Nag Puri