zindagi ki saKHt rahon se guzar jaane ke baad
chand aankhen ro rahi hain mere mar jaane ke baad
bas yahi to soch ke main TuT kar bikhra nahin
kyun sameTega mujhe koi bikhar jaane ke baad
mahw-e-hairat hain malak jab uljhi zulfen dekh kar
Dhaegi ab tu qayamat ban-sanwar jaane ke baad
pastiyan tera muqaddar ban gai hain aaj-kal
ye saza hai meri nazron se utar jaane ke baad
ja rahe ho chhoD kar 'mazhar' use to soch lo
phul mein lauTi hai kab KHushbu bikhar jaane ke baad
Ghazal
Zindagi ki saKHt rahon se guzar jaane ke baad
Mazhar Abbas