zindagi ki rah mein ek moD aisa aaega
jis ke aage har koi KHud ko akela paega
kaun kitna zabt kar sakta hai karb-e-hijr ko
rail jab chalne lagegi faisla ho jaega
aaj bhi us ruThne wale se ye ummid hai
meri jaanib dekh kar ek bar to muskaega
is tarah dega saza apnaiyat ke jurm ki
main use apna kahun wo ghair ke gun gaega
ab hamari aankh mein manzar na koi KHwab hai
tujh se ek rishta dhanak rangon ki chadar laega
jal chuke miT bhi chuke kab se gharibon ke makan
ye dhuan kab tak hamare zehn mein lahraega
de to aae us ko sare faisle karne ka haq
dil larazta hai muqadma kis ke haq mein jaega
Ghazal
Zindagi ki rah mein ek moD aisa aaega
Khwaja Sajid