zindagi ki har kahani be-asar ho jaegi
hum na honge to ye duniya dar-ba-dar ho jaegi
paon patthar kar ke chhoDegi agar ruk jaiye
chalte rahiye to zamin bhi ham-safar ho jaegi
jugnuon ko sath le kar raat raushan kijiye
rasta suraj ka dekha to sahar ho jaegi
zindagi bhi kash mere sath rahti umr-bhar
KHair ab jaise bhi honi hai basar ho jaegi
tum ne KHud hi sar chaDhai thi so ab chakkho maza
main na kahta tha ki duniya dard-e-sar ho jaegi
talKHiyan bhi lazmi hain zindagi ke waste
itna miTha ban ke mat rahiye shakar ho jaegi
Ghazal
Zindagi ki har kahani be-asar ho jaegi
Rahat Indori