zindagi ki aandhi mein zehn ka shajar tanha
tum se kuchh sahaara tha aaj hun magar tanha
zaKHm-KHurda lamhon ko maslahat sambhaale hai
an-ginat marizon mein ek chaaragar tanha
bund jab thi baadal mein zindagi thi halchal mein
qaid ab sadaf mein hai ban ke hai guhar tanha
tum fuzul baaton ka dil pe bojh mat lena
hum to KHair kar lenge zindagi basar tanha
ek khilauna jogi se kho gaya tha bachpan mein
DhunDta phira us ko wo nagar nagar tanha
jhuTpuTe ka aalam hai jaane kaun aadam hai
ek lahad pe rota hai munh ko Dhanp kar tanha
Ghazal
Zindagi ki aandhi mein zehn ka shajar tanha
Javed Akhtar