اردو हिंदी
Zindagi khinch gai mujhse tere abru ki tarah | Shaahi Shayari
zindagi khinch gai mujhse tere abru ki tarah

Ghazal

Zindagi khinch gai mujhse tere abru ki tarah

Muzaffar Warsi

;

zindagi khinch gai mujh se tere abru ki tarah
apne hi KHun ka pyasa hun lab-e-ju ki tarah

wo sitara jo mere nam se mansub hua
dida-e-shab mein hai ek aaKHiri aansu ki tarah

shoala-e-soz-e-darun sard hua jata hai
koi samjhae saba ko ki chale lu ki tarah

koi diwana uThe KHak uDane ke liye
aaj bhi dasht hain phaile hue bazu ki tarah

is bhare shahar mein karta hun hawa se baaten
panw paDta hai zamin par mera aahu ki tarah

shabnami hath baDhaun ki khule darwaza
bin khile phul ke zindan mein hun KHushbu ki tarah

chahte hain jo 'muzaffar' gham-e-hasti se farar
baiTh jaen wo gaDha khod ke sadhu ki tarah