zindagi KHauf se tashkil nahin karni mujhe 
raat se zat ki takmil nahin karni mujhe 
kisi darwesh ke hujre se abhi aaya hun 
so tere hukm ki tamil nahin karni mujhe 
chhoD di dasht-nawardi bhi ziyan-kari bhi 
zindagi ab teri tazlil nahin karni mujhe 
dil ke bazar mein zanjir-zani honi nahin 
aankh bhi aankh rahe jhil nahin karni mujhe 
main ki ilhad ke girdab mein aaya hua hun 
ab kisi ilm ki tahsil nahin karni mujhe 
laDte rahna hai tasalsul se mujhe subh talak 
aur talwar bhi tabdil nahin karni mujhe
        Ghazal
Zindagi KHauf se tashkil nahin karni mujhe
Ahmad Khayal

