zindagi ke sab ubharte aur Dhalte zawiye
naqsh hain nazron mein nazron ke badalte zawiye
dhaDkanen be-tabiyan pur-kaif banhon ka hisar
sans ki hiddat se jazbon ke pighalte zawiye
munqata karne lagi hain hosh se idrak se
ek nazar ki wusaten qausen machalte zawiye
rafta rafta phul chehron ki chamak ko kha gae
jins-parwar bhuki nazron ke nigalte zawiye
muddaten tark-e-talluq ko huin ab bhi magar
DhunDhti hun teri jaanib ko nikalte zawiye
tujh ko bhi hota to hai tark-e-mohabbat par malal
teri aankhon mein hain raqsan hath malte zawiye

Ghazal
Zindagi ke sab ubharte aur Dhalte zawiye
Sarwat Mukhtar