zindagi ke gham lakhon aur chashm-e-nam tanha
hasraton ki mayyat par ro rahe hain hum tanha
mil saka na koi bhi ham-safar zamane mein
kaTte rahe barson jada-e-alam tanha
khel to nahin yaro raste ki tanhai
koi hum ko dikhlae chal ke do-qadam tanha
dil ko chheDti hogi yaad-e-raftagan akasr
lakh ji ko bahlaen shaiKH-e-mohtaram tanha
masjiden tarasti hain us taraf azanon ko
is taraf shiwalon mein rah gae sanam tanha
is bhari KHudai mein wo bhi aaj akele hain
KHalwaton mein rah kar bhi jo rahe the kam tanha
thi 'qatil' chahat mein un ki bhi raza shamil
phir bhi hum hi Thahre hain morid-e-sitam tanha
Ghazal
Zindagi ke gham lakhon aur chashm-e-nam tanha
Qateel Shifai