اردو हिंदी
Zindagi kaT gai sarabon mein | Shaahi Shayari
zindagi kaT gai sarabon mein

Ghazal

Zindagi kaT gai sarabon mein

Manish Shukla

;

zindagi kaT gai sarabon mein
KHud ko DhunDa kiye kitabon mein

zindagi dekh le nazar bhar ke
hum hain shamil tere KHarabon mein

har nasha tha lahu ki garmi se
ab wo masti kahan sharabon mein

muKHtasar ye ki kaT gaya rasta
kuchh gunahon mein kuchh sawabon mein

dard ki dastan adhuri hai
hum ko rakh lijiye hisabon mein

kyun samundar mein shor hai barpa
kaun rahta hai in hababon mein

dil ke taron se dard uThta hai
soz hota nahin rubabon mein