zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD
tu hi ek umr ka hasil hai mera sath na chhoD
log milte hain sar-e-rah guzar jate hain
tu hi ek ham-safar-e-dil hai mera sath na chhoD
tu ne socha hai mujhe tu ne sanwara hai mujhe
tu mera zehn mera dil hai mera sath na chhoD
tu na hoga to kahan ja ke jalunga shab bhar
tujh se hi garmi-e-mahfil hai mera sath na chhoD
main ki biphre hue tufan mein hun lahron lahron
tu ki aasuda-e-sahil hai mera sath na chhoD
is rifaqat ko sipar apni bana len ji len
shahr ka shahr hi qatil hai mera sath na chhoD
ek main ne hi ugae nahin KHwabon ke gulab
tu bhi is jurm mein shamil hai mera sath na chhoD
ab kisi rah pe jalte nahin chahat ke charag
tu meri aaKHiri manzil hai mera sath na chhoD
Ghazal
Zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD
Mazhar Imam