zindagi karwan ka hissa hai
hijr ki dastan ka hissa hai
shakl bhi to hai aks ki bandi
naqsh bhi to nishan ka hissa hai
apna apna maqam hota hai
zarra zarra jahan ka hissa hai
kis liye mehrban nahin hoti
kya zamin aasman ka hissa hai
kas liye de rahe ho tawilen
wo jahan hai wahan ka hissa hai
phir to KHana-badoshi behtar hai
ki jab aziyyat makan ka hissa hai
phir to naw lage kinare bhi
samt agar baadban ka hissa hai
tu hi fikr-e-ayan ka markaz bhi
tu hi harf-e-nihan ka hissa hai
lab pe tere jo aa ke bikhra hai
wo bhi mere bayan ka hissa hai

Ghazal
Zindagi karwan ka hissa hai
Nisar Turabi