zindagi ka safar KHatm hota raha tum mujhe dam-ba-dam yaad aate rahe
meri viran palkon pe din Dhalte hi kuchh sitare magar jagmagate rahe
luT gai zindagi bujh gae dip bhi dur tak phir na baqi rahi raushni
is andhere mein bhi hum teri yaad se apni viran mahfil sajate rahe
tum se bichhDe hue ek muddat hui din guzarta raha waqt Talta raha
sham aati rahi dil dhaDakta raha hum charagh-e-mohabbat jalate rahe
ek tum hi na the warna har chiz thi chand ke sath thi raat ki dil-kashi
saz bajta raha lai ubharti rahi raqs hota raha log gate rahe
yun na koi jiye jis tarah hum jiye zindagi bhar kisi ko na apna sake
bewafai mera dil jalati rahi pyar ke nam par choT khate rahe

Ghazal
Zindagi ka safar KHatm hota raha tum mujhe dam-ba-dam yaad aate rahe
Shaukat Pardesi