اردو हिंदी
Zindagi ka maza nahin milta | Shaahi Shayari
zindagi ka maza nahin milta

Ghazal

Zindagi ka maza nahin milta

Javed Lakhnvi

;

zindagi ka maza nahin milta
but mile to KHuda nahin milta

manzil-e-aKHiri hai qabr meri
ab koi rasta nahin milta

KHugar-e-zulm ho gaya aisa
mujh ko lutf-e-wafa nahin milta

nigah-e-yas se kise dekhun
dil-e-dard-ashna nahin milta

baat itni na umr bhar samjhe
kya mila aur kya nahin milta

jis ko 'jawed' us ne khoya hai
usi dil ka pata nahin milta