zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka
waizo dhoka na do insan ko taqdir ka
apni sannai ki tujh ko laj bhi hai ya nahin
ai musawwir dekh rang uDne laga taswir ka
aap kyun ghabra gae ye aap ko kya ho gaya
meri aahon se koi rishta nahin tasir ka
dil se nazuk shai se kab tak ye harifana suluk
dekh shisha TuTa jata hai teri taswir ka
har nafas ki aamad-o-shud par ye hoti hai KHushi
ek halqa aur bhi kam ho gaya zanjir ka
farq itna hai ki tu parde mein aur main be-hijab
warna main aks-e-mukammal hun teri taswir ka
Ghazal
Zindagi ka har nafas mamnun hai tadbir ka
Asad Bhopali