zindagi ka dard le kar inqalab aaya to kya
ek doshiza pe ghurbat mein shabab aaya to kya
tishna-e-anwar hai ab tak urus-e-zindagi
baadalon ki palki mein aaftab aaya to kya
ab to aankhon par gham-e-hasti ke parde paD gae
ab koi husn-e-mujassam be-naqab aaya to kya
phir wahi johd-e-musalsal phir wahi fikr-e-maash
manzil-e-jaanan se koi kaamyab aaya to kya
ek tajalli se munawwar kijiye qasr-e-hayat
har tajalli par dil-e-KHana-KHarab aaya to kya
baat jab hai gham ke maron ko jila de ai 'shakil'
tu ye zinda mayyaten miTTi mein dab aaya to kya
Ghazal
Zindagi ka dard le kar inqalab aaya to kya
Shakeel Badayuni