zindagi jine ka pahle hausla paida karo
sirf unche KHubsurat KHwab mat dekha karo
dukh andheron ka agar miTta nahin hai zehn se
raat ke daman ko apne KHun se ujla karo
KHud ko poshida na rakkho band kaliyon ki tarah
phul kahte hain tumhein sab log to mahka karo
zindagi ke nam-lewa maut se Darte nahin
hadson ka KHauf le kar ghar se mat nikla karo
rahnuma ye dars hum ko de rahe hain aaj-kal
bech do sachchaiyan iman ka sauda karo
taish mein aane lage tum to meri tanqid par
is qadar hassas ho to aaina dekha karo
Ghazal
Zindagi jine ka pahle hausla paida karo
Manzar Bhopali