zindagi jab se shanasa-e-muhaallat hui
sach to ye hai ki KHud apne se mulaqat hui
parda-e-gham jise samjha tha wahi KHamoshi
kal teri bazm mein mauzu-e-hakayat hui
hum ko ai qafila-e-shauq ye kya yaad rahe
ki hui subh kahan aur kahan raat hui
teri duz-dida-nigahi ka KHayal aate hi
dil mein ek raushni-e-kashf-e-hijabaat hui
is qadar sahl kahan marhala-e-soz-o-gudaz
raat bhar shama ka jalna bhi koi baat hui
pas-e-adab-e-mohabbat ki ba-in raaz o niyaz
muddaton baad-e-saba se na koi baat hui
jis ki mahfil ko 'rawish' jannat-e-farda kahiye
kal usi KHusraw-e-KHuban se mulaqat hui
Ghazal
Zindagi jab se shanasa-e-muhaallat hui
Ravish Siddiqi