zindagi jab bhi aazmati hai
kuchh na kuchh to hamein sikhati hai
har haqiqat samajh mein aati hai
maut jab aaina dikhati hai
ek nannhi pari hai aangan mein
jo mere ghar ko ghar banati hai
koi pagal lahar kinare par
jaane kya likhti hai miTati hai
sar-phiri ho gai hai ek laDki
wo hawa mein diya jalati hai

Ghazal
Zindagi jab bhi aazmati hai
Poonam Yadav