zindagi itni be-maza kyun hai
dard-o-gham se ye aashna kyun hai
is zamane ke sath sath hun main
phir muKHalif mere hawa kyun hai
chaaragar bhi na kar sake tashKHis
ishq ka dil ko aariza kyun hai
shahr mein ghar to aur bhi the magar
ek hamara hi ghar jala kyun hai
jab wo shah-rag ke hai qarib to phir
meri nazron se wo chhupa kyun hai
hum abhi muttahid hue bhi nahin
sare aalam mein tahlka kyun hai
us ke gham mein pata chala ro kar
qatra-e-ashk be-baha kyun hai
sakte mein kufr aaj bhi hai 'waqar'
rahnuma haq ki karbala kyun hai
Ghazal
Zindagi itni be-maza kyun hai
Waqar Hilm Syed Naglavi