zindagi ishq-o-mohabbat se jawan hoti hai
warna be-kaif si be-tab-o-tawan hoti hai
ishq ki lau se jo raushan rag-e-jaan hoti hai
shama ban jati hai be-ishq dhuan hoti hai
kaun hum jaison ko is mai ka pata deta hai
pahle kuchh log batate the ki han hoti hai
haw-hu shor jo hum sunte hain mai-KHane mein
mai-gusaron ke liye bang-e-azan hoti hai
ek na ek naseh-e-mushfiq bhi Tapak paDta hai
mai-gusari ki koi baat jahan hoti hai
ai 'hakim' aao wo mai-KHana khula rahta hai
asl mai saqi-e-kausar ke wahan hoti hai

Ghazal
Zindagi ishq-o-mohabbat se jawan hoti hai
Gulam Nabi Hakeem